duniya KHayal-o-KHwab hai meri nigah mein
duniya KHayal-o-KHwab hai meri nigah mein
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
duniyā ḳhayāl-o-ḳhvāb hai merī nigāh meñ
ābād sab ḳharāb hai merī nigāh meñ
bahtī phire hai umar talātum meñ dahr ke
insān juuñ hubāb hai merī nigāh meñ
maiñ bahr-e-ġham ko dekh liyā nā-ḳhudā ba-rū
kashtī na ho pa aab hai merī nigāh meñ
chhūTā huuñ jab se shaiḳh ta.ayyun kī qaid se
har zarra āftāb hai merī nigāh meñ
tum kaif meñ sharāb ke kahte ho jis ko dil
bhūnā huā kabāb hai merī nigāh meñ
kyuuñ khīñchte ho teġh kamar se che-fā.eda
muddat se is kī aab hai merī nigāh meñ
'hātim' tū is jahān kī lazzāt par na bhuul
ye pā-e-dar-rikāb hai merī nigāh meñ
duniya KHayal-o-KHwab hai meri nigah mein
aabaad sab KHarab hai meri nigah mein
bahti phire hai umar talatum mein dahr ke
insan jun hubab hai meri nigah mein
main bahr-e-gham ko dekh liya na-KHuda ba-ru
kashti na ho pa aab hai meri nigah mein
chhuTa hun jab se shaiKH tayyun ki qaid se
har zarra aaftab hai meri nigah mein
tum kaif mein sharab ke kahte ho jis ko dil
bhuna hua kabab hai meri nigah mein
kyun khinchte ho tegh kamar se che-faeda
muddat se is ki aab hai meri nigah mein
'hatim' tu is jahan ki lazzat par na bhul
ye pa-e-dar-rikab hai meri nigah mein
- Book : diivaan-zaada (Pg. 237)
- Publication : dillii kitaab ghar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.