duniya ki aab-o-tab se aage chale gae
duniyā kī āb-o-tāb se aage chale ga.e
ham ishq ke azaab se aage chale ga.e
āñkhoñ ne likh liye haiñ fasāne umiid ke
aañsū fasīl-e-āb se aage chale ga.e
us ne qubūliyat kī sanad jab se dī mujhe
sab harf is kitāb se aage chale ga.e
jab ḳhushbūoñ ke dar pe huī raushnī to ham
gulshan ke har gulāb se aage chale ga.e
ḳhāmoshiyoñ kī jab se samajhne lage zabāñ
lafzoñ ke iztirāb se aage chale ga.e
āñkheñ chamak uThī haiñ jo raushan ḳhayāl se
dīvāngī ke ḳhvāb se aage chale ga.e
duniya ki aab-o-tab se aage chale gae
hum ishq ke azab se aage chale gae
aankhon ne likh liye hain fasane umid ke
aansu fasil-e-ab se aage chale gae
us ne qubuliyat ki sanad jab se di mujhe
sab harf is kitab se aage chale gae
jab KHushbuon ke dar pe hui raushni to hum
gulshan ke har gulab se aage chale gae
KHamoshiyon ki jab se samajhne lage zaban
lafzon ke iztirab se aage chale gae
aankhen chamak uThi hain jo raushan KHayal se
diwangi ke KHwab se aage chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.