duniya ki har bahaar se aage nikal gaya
duniyā kī har bahār se aage nikal gayā
dīvāna jab hisār se aage nikal gayā
fauran hī mere hijr kī raftār ghaT ga.ī
jab bhī lagā ki yaar se aage nikal gayā
ek dauḌ ġham kī rakkhī ga.ī mere us ke biich
maiñ apne ġham-gusār se aage nikal gayā
vaise to qais mere qabīle kā fard hai
lekin vo be-shumār se aage nikal gayā
duniya ki har bahaar se aage nikal gaya
diwana jab hisar se aage nikal gaya
fauran hi mere hijr ki raftar ghaT gai
jab bhi laga ki yar se aage nikal gaya
ek dauD gham ki rakkhi gai mere us ke bich
main apne gham-gusar se aage nikal gaya
waise to qais mere qabile ka fard hai
lekin wo be-shumar se aage nikal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.