duniya ki har sharab se behtar teri sharab
duniyā kī har sharāb se behtar tirī sharāb
piite haiñ tere yaar barābar tirī sharāb
is mai-kade ke kyā kahīñ zāhid bhī rind haiñ
kis shaan se vo piite haiñ khul kar tirī sharāb
aise buzurg bhī mile jin kī nashist meñ
mauzū-e-guftugū rahī aksar tirī sharāb
har shaḳhs meñ hai quvvat-e-bardāsht hī kahāñ
har shaḳhs ko kahāñ hai mayassar tirī sharāb
mai-ḳhāna terā rindoñ se ḳhālī jo ho gayā
ḳhud hī bapā karā.eñgī mahshar tirī sharāb
mai-ḳhvār jo bhī haiñ tire un ko ba-roz-e-hashr
bāTeñge ḳhud hī sāqī-e-kausar tirī sharāb
nashsha utar na paa.e phir us kā tamām umr
pī le jo ek ghūñT bhī 'aḳhtar' tirī sharāb
duniya ki har sharab se behtar teri sharab
pite hain tere yar barabar teri sharab
is mai-kade ke kya kahin zahid bhi rind hain
kis shan se wo pite hain khul kar teri sharab
aise buzurg bhi mile jin ki nashist mein
mauzu-e-guftugu rahi aksar teri sharab
har shaKHs mein hai quwwat-e-bardasht hi kahan
har shaKHs ko kahan hai mayassar teri sharab
mai-KHana tera rindon se KHali jo ho gaya
KHud hi bapa karaengi mahshar teri sharab
mai-KHwar jo bhi hain tere un ko ba-roz-e-hashr
baTenge KHud hi saqi-e-kausar teri sharab
nashsha utar na pae phir us ka tamam umr
pi le jo ek ghunT bhi 'aKHtar' teri sharab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.