duniya ki hirs chhoD KHazane se mat laga
duniyā kī hirs chhoḌ ḳhazāne se mat lagā
dil hai faqīr dil ko zamāne se mat lagā
ye dil ki 'umr-bhar kī riyāzat se dil bane
is dil ko mahz dil se lagāne se mat lagā
qalb-e-hazīñ kī asl haqīqat-pasand hai
sun dekh baat maan fasāne se mat lagā
kuchh duur saath chal ke mire dekh to sahī
mujh ko abhī se yaar Thikāne se mat lagā
barbād kar na de tujhe sohbat 'navāz' kī
maiñ ne kahā bhī dil ko dīvāne se mat lagā
duniya ki hirs chhoD KHazane se mat laga
dil hai faqir dil ko zamane se mat laga
ye dil ki 'umr-bhar ki riyazat se dil bane
is dil ko mahz dil se lagane se mat laga
qalb-e-hazin ki asl haqiqat-pasand hai
sun dekh baat man fasane se mat laga
kuchh dur sath chal ke mere dekh to sahi
mujh ko abhi se yar Thikane se mat laga
barbaad kar na de tujhe sohbat 'nawaz' ki
main ne kaha bhi dil ko diwane se mat laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.