duniya ki jo KHushi thi wo gham se badal gai
duniyā kī jo ḳhushī thī vo ġham se badal ga.ī
shāyad hayāt ishq ke sāñche meñ Dhal ga.ī
duniyā phirī phirī hai tumhārī nazar ke saath
tum kyā badal ga.e ki ḳhudā.ī badal ga.ī
ruḳh bijliyoñ ne moḌ liyā sū-e-āshiyāñ
aa.ī huī balā mire gulshan se Tal ga.ī
dī hai kisī kī yaad ne dastak kuchh is tarah
jaise sabā qarīb se aa kar nikal ga.ī
merī ḳhushī kī baat kā ab pūchhnā hī kyā
merī har ik ḳhushī to tire ġham meñ Dhal ga.ī
jis shai ko tum ne dekh liyā iltifāt se
vo shai tumhāre husn ke sāñche meñ Dhal ga.ī
vo ḳhairiyat ke vāste ā.eñge ghar mire
shāyad isī sabab se tabī.at sañbhal ga.ī
kitnā qavī junūñ kā hai rishta bahār se
jab bhī bahār aa.ī tabī.at machal ga.ī
duniyā ko ḳhush jo dekhā to maiñ muskurā uThā
duniyā ne jab ḳhushī mirī dekhī to jal ga.ī
'gauhar' girāñ hai merī tabī.at pe kaif-o-rang
haañ dekh kar ḳhizāñ ko tabī.at bahal ga.ī
duniya ki jo KHushi thi wo gham se badal gai
shayad hayat ishq ke sanche mein Dhal gai
duniya phiri phiri hai tumhaari nazar ke sath
tum kya badal gae ki KHudai badal gai
ruKH bijliyon ne moD liya su-e-ashiyan
aai hui bala mere gulshan se Tal gai
di hai kisi ki yaad ne dastak kuchh is tarah
jaise saba qarib se aa kar nikal gai
meri KHushi ki baat ka ab puchhna hi kya
meri har ek KHushi to tere gham mein Dhal gai
jis shai ko tum ne dekh liya iltifat se
wo shai tumhaare husn ke sanche mein Dhal gai
wo KHairiyat ke waste aaenge ghar mere
shayad isi sabab se tabiat sanbhal gai
kitna qawi junun ka hai rishta bahaar se
jab bhi bahaar aai tabiat machal gai
duniya ko KHush jo dekha to main muskura uTha
duniya ne jab KHushi meri dekhi to jal gai
'gauhar' giran hai meri tabiat pe kaif-o-rang
han dekh kar KHizan ko tabiat bahal gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.