duniya ki kashakash mein phans kar dil-e-gham se bachana paDta hai
duniya ki kashakash mein phans kar dil-e-gham se bachana paDta hai
Jameela Khatoon Tasneem
MORE BYJameela Khatoon Tasneem
duniyā kī kashākash meñ phañs kar dil-e-ġham se bachānā paḌtā hai
murjhā.ī huī kaliyoñ ko yahāñ hañs hañs ke khilānā paḌtā hai
yuuñ apnī tamannā muztar hai yuuñ apnī mohabbat vīrāñ hai
kāñTe se bichhe haiñ har jānib palkoñ se uThānā paḌtā hai
kyā aalam hai behosh meñ bhī vā ahl-e-nazar kī nazreñ haiñ
mahfil meñ kisī ke dāman se dāman ko bachānā paḌtā hai
jab chāñdnī shab meñ yaad kisī zālim kī nahīñ jiine detī
phir rāz-e-mohabbat ghabrā kar tāroñ se batānā paḌtā hai
yuuñ dard kī Tīseñ uThtī haiñ yuuñ sabr kā dāmāñ chhuTtā hai
maazī kā fasāna phir dil se Dar Dar ke bhulānā paḌtā hai
kis tanz se vo farmāte haiñ kyā sahl hai ulfat kī manzil
yaañ jaan gañvānī paḌtī hai yaañ ashk bahānā paḌtā hai
mañjdhār meñ apne hāthoñ se 'tasnīm' Dubo kar aah yahāñ
nākām mohabbat kashtī ko phir paar lagānā paḌtā hai
duniya ki kashakash mein phans kar dil-e-gham se bachana paDta hai
murjhai hui kaliyon ko yahan hans hans ke khilana paDta hai
yun apni tamanna muztar hai yun apni mohabbat viran hai
kanTe se bichhe hain har jaanib palkon se uThana paDta hai
kya aalam hai behosh mein bhi wa ahl-e-nazar ki nazren hain
mahfil mein kisi ke daman se daman ko bachana paDta hai
jab chandni shab mein yaad kisi zalim ki nahin jine deti
phir raaz-e-mohabbat ghabra kar taron se batana paDta hai
yun dard ki Tisen uThti hain yun sabr ka daman chhuTta hai
mazi ka fasana phir dil se Dar Dar ke bhulana paDta hai
kis tanz se wo farmate hain kya sahl hai ulfat ki manzil
yan jaan ganwani paDti hai yan ashk bahana paDta hai
manjdhaar mein apne hathon se 'tasnim' Dubo kar aah yahan
nakaam mohabbat kashti ko phir par lagana paDta hai
- Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 105)
- Author : Khan Mohammad Atif
- Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.