duniya ki KHwahishat mein uljha nahin hun main
duniya ki KHwahishat mein uljha nahin hun main
Nabiul Hasan Shamim
MORE BYNabiul Hasan Shamim
duniyā kī ḳhvāhishāt meñ uljhā nahīñ huuñ maiñ
uḌ jaa.e jo havā meñ vo tinkā nahīñ huuñ maiñ
bīmār un ko dekh ke ḳhāmosh ho gayā
itnā kahā zabān se achchhā nahīñ huuñ maiñ
aatā hai mujh ko markaz-e-tauhīd kā ḳhayāl
muñh se nikal na jaa.e ki banda nahīñ huuñ maiñ
har dam yahī duā hai ki betābiyāñ raheñ
ye haal ho gayā hai ki apnā nahīñ huuñ maiñ
āsāñ nahīñ hai merī haqīqat ko jānñā
mil jaa.e jo sabhoñ ko vo rasta nahīñ huuñ maiñ
mere hī dam se hai ye mire dil kī bekalī
apne maraz kā aap mudāvā nahīñ huuñ maiñ
hai āfiyat meñ jaan jo miltā nahīñ koī
achchhā hai ye 'shamīm' ki achchhā nahīñ huuñ maiñ
duniya ki KHwahishat mein uljha nahin hun main
uD jae jo hawa mein wo tinka nahin hun main
bimar un ko dekh ke KHamosh ho gaya
itna kaha zaban se achchha nahin hun main
aata hai mujh ko markaz-e-tauhid ka KHayal
munh se nikal na jae ki banda nahin hun main
har dam yahi dua hai ki betabiyan rahen
ye haal ho gaya hai ki apna nahin hun main
aasan nahin hai meri haqiqat ko jaanna
mil jae jo sabhon ko wo rasta nahin hun main
mere hi dam se hai ye mere dil ki bekali
apne maraz ka aap mudawa nahin hun main
hai aafiyat mein jaan jo milta nahin koi
achchha hai ye 'shamim' ki achchha nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.