duniya ki lazzaton se mafar kar raha hun main
duniyā kī lazzatoñ se mafar kar rahā huuñ maiñ
bas sādgī se 'umr basar kar rahā huuñ maiñ
palkoñ pe āñsuoñ ko guhar kar rahā huuñ maiñ
raushan añdherī raat meñ ghar kar rahā huuñ maiñ
ab us kī yaad se kabhī us ke habīb kī
ābād apne dil kā nagar kar rahā huuñ maiñ
jab mujh ko gulsitāñ kā muhāfiz banā diyā
yuuñ duur us se barq-o-sharar kar rahā huuñ maiñ
mumkin hai phuuT nikle kabhī naḳhl-e-ārzū
sūkhī zamīñ ko aab se tar kar rahā huuñ maiñ
shāyad qubūl kar le kisī din vo merī baat
paidā zabāñ meñ 'yās' asar kar rahā huuñ maiñ
duniya ki lazzaton se mafar kar raha hun main
bas sadgi se 'umr basar kar raha hun main
palkon pe aansuon ko guhar kar raha hun main
raushan andheri raat mein ghar kar raha hun main
ab us ki yaad se kabhi us ke habib ki
aabaad apne dil ka nagar kar raha hun main
jab mujh ko gulsitan ka muhafiz bana diya
yun dur us se barq-o-sharar kar raha hun main
mumkin hai phuT nikle kabhi naKHl-e-arzu
sukhi zamin ko aab se tar kar raha hun main
shayad qubul kar le kisi din wo meri baat
paida zaban mein 'yas' asar kar raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.