duniya ki mohabbat mein mila kuchh bhi nahin hai
duniyā kī mohabbat meñ milā kuchh bhī nahīñ hai
do roz kī zillat ke sivā kuchh bhī nahīñ hai
kahte the ki ham bichhḌe to mar jā.eñge donoñ
bichhḌe haiñ to donoñ ko huā kuchh bhī nahīñ hai
insāf kā paimāna to hai zinda zamīrī
behis huuñ to phir achchhā-burā kuchh bhī nahīñ hai
bas merī masīhā.ī ko lāzim hai tirā vasl
varna to mire ġham kī davā kuchh bhī nahīñ hai
parda to ik ehsās kī chādar hai mire dost
uryānī pe kapḌe kī ridā kuchh bhī nahīñ hai
'vāqif' tirī koshish kā natīja hai muqaddar
varna tirī qismat meñ likhā kuchh bhī nahīñ hai
duniya ki mohabbat mein mila kuchh bhi nahin hai
do roz ki zillat ke siwa kuchh bhi nahin hai
kahte the ki hum bichhDe to mar jaenge donon
bichhDe hain to donon ko hua kuchh bhi nahin hai
insaf ka paimana to hai zinda zamiri
behis hun to phir achchha-bura kuchh bhi nahin hai
bas meri masihai ko lazim hai tera wasl
warna to mere gham ki dawa kuchh bhi nahin hai
parda to ek ehsas ki chadar hai mere dost
uryani pe kapDe ki rida kuchh bhi nahin hai
'waqif' teri koshish ka natija hai muqaddar
warna teri qismat mein likha kuchh bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.