duniya ki rah pe yar hamara bhi chal paDa
duniyā kī rah pe yaar hamārā bhī chal paḌā
jis Tek par the ham vo sahārā bhī chal paḌā
āñkheñ bañdhī huī thiiñ manāzir kī Dor se
kashtī chalī to saath kinārā bhī chal paḌā
hālāñki āzmāyā huā thā vo ek baar
lekin maiñ us ke saath dubāra bhī chal paḌā
mushkil thā intizār so sūraj ko DhūñDne
hamrāh mere sub.h kā taarā bhī chal paḌā
dil meñ jo aag thī vahī hoñToñ pe aa ga.ī
lafzoñ kī aaḌ le ke sharāra bhī chal paḌā
duniya ki rah pe yar hamara bhi chal paDa
jis Tek par the hum wo sahaara bhi chal paDa
aankhen bandhi hui thin manazir ki Dor se
kashti chali to sath kinara bhi chal paDa
haalanki aazmaya hua tha wo ek bar
lekin main us ke sath dubara bhi chal paDa
mushkil tha intizar so suraj ko DhunDne
hamrah mere subh ka tara bhi chal paDa
dil mein jo aag thi wahi honTon pe aa gai
lafzon ki aaD le ke sharara bhi chal paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.