duniya ko dars-e-mahr-o-wafa de rahe hain hum
duniyā ko dars-e-mahr-o-vafā de rahe haiñ ham
sahrā meñ jaise koī sadā de rahe haiñ ham
ye sochnā fuzūl hai duniyā se kyā milā
ye dekhnā zarūr hai kyā de rahe haiñ ham
le kar jazā-e-ḳhuld kī ik ārzū-e-ḳhām
ḳhud ko na jaane kab se sazā de rahe haiñ ham
ai rahzan-e-matā.a-e-dil-o-jāñ ḳhudā gavāh
tujh ko ba-sad-ḳhulūs duā de rahe haiñ ham
maanā ki uḌ chukā hai garebāñ kā taar taar
shāḳhoñ ko to guloñ kī qabā de rahe haiñ ham
duniya ko dars-e-mahr-o-wafa de rahe hain hum
sahra mein jaise koi sada de rahe hain hum
ye sochna fuzul hai duniya se kya mila
ye dekhna zarur hai kya de rahe hain hum
le kar jaza-e-KHuld ki ek aarzu-e-KHam
KHud ko na jaane kab se saza de rahe hain hum
ai rahzan-e-mataa-e-dil-o-jaan KHuda gawah
tujh ko ba-sad-KHulus dua de rahe hain hum
mana ki uD chuka hai gareban ka tar tar
shaKHon ko to gulon ki qaba de rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.