duniya ko dikhane se jo majbur rahe hain
duniyā ko dikhāne se jo majbūr rahe haiñ
ham ziist ke siine kā vo nāsūr rahe haiñ
kahne ko to āzād nazar aate haiñ sab ko
ham zaat meñ apnī sadā mahsūr rahe haiñ
ab ham ko koī dars-e-tabassum nahīñ denā
ik 'umr se ranjūr the ranjūr rahe haiñ
DhūñDā mire andar na kisī ne mujhe yaaro
ham muddatoñ ḳhud se yūñhī mafrūr rahe haiñ
us fitna-e-maġhrūr se sad-shukriya 'mariyam'
ham duur bahut duur bahut duur rahe haiñ
duniya ko dikhane se jo majbur rahe hain
hum zist ke sine ka wo nasur rahe hain
kahne ko to aazad nazar aate hain sab ko
hum zat mein apni sada mahsur rahe hain
ab hum ko koi dars-e-tabassum nahin dena
ek 'umr se ranjur the ranjur rahe hain
DhunDa mere andar na kisi ne mujhe yaro
hum muddaton KHud se yunhi mafrur rahe hain
us fitna-e-maghrur se sad-shukriya 'mariyam'
hum dur bahut dur bahut dur rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.