duniya kya hai barf ki ek almari hai
duniyā kyā hai barf kī ik almārī hai
ek ThiThurtī niiñd sabhī par taarī hai
kohrā oḌhe uuñgh rahe haiñ ḳhasta makāñ
aaj kī shab bīmār diyoñ par bhārī hai
sab kānoñ meñ ik jaisī sargoshī sī
ek hī jaisā dard zabāñ par jaarī hai
shaam kī taqrībāt meñ hissa lenā hai
kachchā rasta dhuul aTī ik laarī hai
gorī chaTTī dhuup bulā.e jaaḌe kī
vo kyā jaane merī kyā dushvārī hai
duniya kya hai barf ki ek almari hai
ek ThiThurti nind sabhi par tari hai
kohra oDhe ungh rahe hain KHasta makan
aaj ki shab bimar diyon par bhaari hai
sab kanon mein ek jaisi sargoshi si
ek hi jaisa dard zaban par jari hai
sham ki taqribaat mein hissa lena hai
kachcha rasta dhul aTi ek lari hai
gori chaTTi dhup bulae jaDe ki
wo kya jaane meri kya dushwari hai
- Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 446)
- Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
- Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj, New Delhi-110002 (July, Aug., Sep. Oct. 1978,Issue No. 4,5,6,7,Volume No. 26)
- Edition : July, Aug., Sep. Oct. 1978,Issue No. 4,5,6,7,Volume No. 26
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.