duniya mein gar-che kaam hamein dil-lagi ka hai
duniyā meñ gar-che kaam hameñ dil-lagī kā hai
apnā yahāñ qiyām ghaḌī do-ghaḌī kā hai
kis ne kahā ki 'ishq tirī chākarī burī
jhagḌā to saarā roz kī is hāzirī kā hai
jo she'r kah liye haiñ inheñ ab na chheḌiye
ab in pe iḳhtiyār kisī aur hī kā hai
us fan meñ Thahr Thahr ke karte haiñ kaam ham
jis meñ ki saarā lutf hī barjastagī kā hai
taḳhlīq ke tamām dar uḌkā diye haiñ 'arsh'
misroñ pe phir bhī shā.iba sā shā'irī kā hai
duniya mein gar-che kaam hamein dil-lagi ka hai
apna yahan qiyam ghaDi do-ghaDi ka hai
kis ne kaha ki 'ishq teri chaakari buri
jhagDa to sara roz ki is haziri ka hai
jo she'r kah liye hain inhen ab na chheDiye
ab in pe iKHtiyar kisi aur hi ka hai
us fan mein Thahr Thahr ke karte hain kaam hum
jis mein ki sara lutf hi barjastagi ka hai
taKHliq ke tamam dar uDka diye hain 'arsh'
misron pe phir bhi shaiba sa sha'iri ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.