duniya mein jo samajhte the bar-e-giran mujhe
duniyā meñ jo samajhte the bār-e-girāñ mujhe
vo hī sunā rahe haiñ mirī dāstāñ mujhe
muḌ muḌ ke dekhtā thā tire naqsh-e-pā ko maiñ
tanhā samajh ke chal diyā jab kārvāñ mujhe
do gaam mere saath chale rāh-e-ishq meñ
miltā nahīñ hai aisā koī rāz-dāñ mujhe
ḳhāmoshiyoñ se rābta qaa.em jo kar liyā
duniyā samajh rahī hai abhī be-zabāñ mujhe
maiñ ne 'ra.īs' ḳhidmat-e-sher-o-suḳhan jo kī
is vāste aziiz hai urdu zabāñ mujhe
duniya mein jo samajhte the bar-e-giran mujhe
wo hi suna rahe hain meri dastan mujhe
muD muD ke dekhta tha tere naqsh-e-pa ko main
tanha samajh ke chal diya jab karwan mujhe
do gam mere sath chale rah-e-ishq mein
milta nahin hai aisa koi raaz-dan mujhe
KHamoshiyon se rabta qaem jo kar liya
duniya samajh rahi hai abhi be-zaban mujhe
main ne 'rais' KHidmat-e-sher-o-suKHan jo ki
is waste aziz hai urdu zaban mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.