duniya mein kise aag lagani nahin aati
duniyā meñ kise aag lagānī nahīñ aatī
afsos magar sab ko bujhānī nahīñ aatī
tā-hadd-e-nazar dasht hai kyuuñ baiThe hue ho
lagtā hai tumheñ ḳhaak uḌānī nahīñ aatī
vo shoḳh hai bātoñ meñ lagā rahtā hai aksar
suntā huuñ mujhe baat banānī nahīñ aatī
bistar kī zarūrat hī nahīñ niiñd ko pyāre
kyā jism kī chādar hī bichhānī nahīñ aatī
bujhtī hī nahīñ aag lagī hai jo jigar meñ
lekin mire ashkoñ meñ ravānī nahīñ aatī
ḳhushbū se mahaktī hī nahīñ raat hamārī
ḳhvāboñ meñ agar raat kī raanī nahīñ aatī
nādān mirī mez ke shīshe pe gire haiñ
ashkoñ ko bhī tasvīr banānī nahīñ aatī
maiñ ḳhud bhī khilaunoñ kā taraf-dār rahūñgā
jab tak mire bachchoñ pe javānī nahīñ aatī
maiñ sirf haqīqat hī bayāñ kartā huuñ 'aijāz'
afsāna nahīñ aatā kahānī nahīñ aatī
duniya mein kise aag lagani nahin aati
afsos magar sab ko bujhani nahin aati
ta-hadd-e-nazar dasht hai kyun baiThe hue ho
lagta hai tumhein KHak uDani nahin aati
wo shoKH hai baaton mein laga rahta hai aksar
sunta hun mujhe baat banani nahin aati
bistar ki zarurat hi nahin nind ko pyare
kya jism ki chadar hi bichhani nahin aati
bujhti hi nahin aag lagi hai jo jigar mein
lekin mere ashkon mein rawani nahin aati
KHushbu se mahakti hi nahin raat hamari
KHwabon mein agar raat ki rani nahin aati
nadan meri mez ke shishe pe gire hain
ashkon ko bhi taswir banani nahin aati
main KHud bhi khilaunon ka taraf-dar rahunga
jab tak mere bachchon pe jawani nahin aati
main sirf haqiqat hi bayan karta hun 'aijaz'
afsana nahin aata kahani nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.