duniya mein kitne rang nazar aaenge nae
duniyā meñ kitne rañg nazar ā.eñge na.e
hoñ diid ke amal meñ agar zāviye na.e
chehra bhī āñsuoñ se tar-o-tāza ho gayā
bārish ke ba.ad sabza-o-gul bhī hue na.e
badlī hai ye zamīñ ki mirī aañkh vo nahīñ
begāna shahr-o-dasht haiñ aur rāste na.e
us ko badal gayā nasha-e-ḳhud-supurdagī
mānūs ḳhāl-o-ḳhad mujhe yaksar lage na.e
sab se judā haiñ gar mire nau-zā.īda ḳhayāl
jis ne diye ḳhayāl vo alfāz de na.e
duniya mein kitne rang nazar aaenge nae
hon did ke amal mein agar zawiye nae
chehra bhi aansuon se tar-o-taza ho gaya
barish ke baad sabza-o-gul bhi hue nae
badli hai ye zamin ki meri aankh wo nahin
begana shahr-o-dasht hain aur raste nae
us ko badal gaya nasha-e-KHud-supurdagi
manus KHal-o-KHad mujhe yaksar lage nae
sab se juda hain gar mere nau-zaida KHayal
jis ne diye KHayal wo alfaz de nae
- Book : Khizan mera Mosam (Pg. 75)
- Author : Hassan Akbar Kamal
- Publication : Seep Publications, karachi (1980)
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.