duniya mein koi ahl-e-nazar kya raha nahin
duniyā meñ koī ahl-e-nazar kyā rahā nahīñ
vo sāmne hai aur koī dekhtā nahīñ
aisā bhī inqalāb jahāñ meñ huā nahīñ
din ho gayā hai aur añdherā gayā nahīñ
tum ne bhī kuchh sunā hai mire dil kā mājrā
hai har zabāñ pe aur kisī ne kahā nahīñ
maanā ki maiñ zamāne meñ majbūr huuñ magar
ye ḳhair hai ki tum bhī kisī ke ḳhudā nahīñ
aaj apne āshiyāne meñ bulbul hai be-vatan
sayyād ke bhī ahd meñ aisā huā nahīñ
īmān hai mirā tirī jannat par ai ḳhudā
lekin ye mere ḳhūn-e-jigar kā sila nahīñ
'maikash' mirā bayān zamāne ne sun liyā
hai jis kā zikr sirf usī ne sunā nahīñ
duniya mein koi ahl-e-nazar kya raha nahin
wo samne hai aur koi dekhta nahin
aisa bhi inqalab jahan mein hua nahin
din ho gaya hai aur andhera gaya nahin
tum ne bhi kuchh suna hai mere dil ka majra
hai har zaban pe aur kisi ne kaha nahin
mana ki main zamane mein majbur hun magar
ye KHair hai ki tum bhi kisi ke KHuda nahin
aaj apne aashiyane mein bulbul hai be-watan
sayyaad ke bhi ahd mein aisa hua nahin
iman hai mera teri jannat par ai KHuda
lekin ye mere KHun-e-jigar ka sila nahin
'maikash' mera bayan zamane ne sun liya
hai jis ka zikr sirf usi ne suna nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.