duniya mein koi dil ka KHaridar na paya
duniya mein koi dil ka KHaridar na paya
Meerza Jawan Bakht Jahandar
MORE BYMeerza Jawan Bakht Jahandar
duniyā meñ koī dil kā ḳharīdār na paayā
sab dekhe dil-āzār hī dildār na paayā
kab ġhair ko ham-rah tire ai yaar na dekhā
tujh gul ko kabhī ham ne to be-ḳhār na paayā
tujh ruḳh se na burqā uThā ai ġhairat-e-ḳhurshīd
zarra tirā mushtāqoñ ne dīdār na paayā
ham sar hī paTakte rahe darvāze ke bāhar
par ghar meñ tire aanā kabhī baar na paayā
kis se kahūñ apnā ġham-e-dil aah azīzāñ
duniyā meñ koī mūnis-o-ġham-ḳhvār na paayā
har tarah gale paḌ ke diyā ham ne tujhe dil
jab tujh sā yahāñ koī tarah-dār na paayā
dekh us kī huī aisī ze-ḳhud-raftagī tujh ko
kal aap meñ maiñ tujh ko 'jahāñdār' na paayā
duniya mein koi dil ka KHaridar na paya
sab dekhe dil-azar hi dildar na paya
kab ghair ko ham-rah tere ai yar na dekha
tujh gul ko kabhi hum ne to be-KHar na paya
tujh ruKH se na burqa uTha ai ghairat-e-KHurshid
zarra tera mushtaqon ne didar na paya
hum sar hi paTakte rahe darwaze ke bahar
par ghar mein tere aana kabhi bar na paya
kis se kahun apna gham-e-dil aah azizan
duniya mein koi munis-o-gham-KHwar na paya
har tarah gale paD ke diya hum ne tujhe dil
jab tujh sa yahan koi tarah-dar na paya
dekh us ki hui aisi ze-KHud-raftagi tujh ko
kal aap mein main tujh ko 'jahandar' na paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.