duniya mein koi ranj se baDh kar KHushi nahin
duniya mein koi ranj se baDh kar KHushi nahin
Mohammad Yusuf Rasikh
MORE BYMohammad Yusuf Rasikh
duniyā meñ koī rañj se baḌh kar ḳhushī nahīñ
vo bhī hameñ nasīb kabhī hai kabhī nahīñ
dard-e-jigar kī tum pe musībat paḌī nahīñ
tum to kahoge ishq kī manzil kaḌī nahīñ
dushman kī raah rok ke baiThā huuñ aaj maiñ
duniyā kā rāsta hai tumhārī galī nahīñ
dushman kī maut kā tumheñ kyūñkar na ho malāl
ik bā-vafā jahāñ meñ vahī thā vahī nahīñ
shoḳhī kisī kī khul ga.ī āḳhir kalīm par
karne kī thī jo baat vahī un se kī nahīñ
qatroñ ke lab pe shor-e-anal-bahr hai ravāñ
taqlīd kyā ye hazrat-e-mansūr kī nahīñ
īfā-e-ahd hai ki qayāmat kā shor hai
tum khul ke kah na do ki zabāñ ham ne dī nahīñ
lailā ne ḳhud qarār diyā hai vafā ko jurm
majnūñ ne vo kitāb-e-mohabbat paḌhī nahīñ
kaTne ko kaT rahī hai barābar shab-e-firāq
jiine ko jī rahā huuñ magar zindagī nahīñ
tum ko fareb-e-ġhair se āgāh kar diyā
varna mujhe kisī se koī dushmanī nahīñ
rotā hai be-sabātī-e-gulzār-e-dahr par
ġhunche ke lab pe ġhaur se dekho hañsī nahīñ
āñkhoñ ne phuuT phuuT ke sab haal kah diyā
ain-e-visāl meñ bhī yahāñ ḳhāmushī nahīñ
pīr-e-muġhāñ ke faiz se raushan hai mai-kada
sāġhar kā jo murīd nahīñ muttaqī nahīñ
ārām se qafas meñ guzārūñgā zindagī
achchhā huā ki tāqat-e-parvāz hī nahīñ
aatī hai ḳhāk-e-tūr se ab tak yahī ḳhudā
dil kī lagī kā zikr koī dil-lagī nahīñ
āshiq ke dam se husn kī duniyā ko hai faroġh
bulbul nahīñ to raunaq-e-gulzār hī nahīñ
dilbar ke intiḳhāb meñ mujh se ḳhatā huī
merā qusūr hai ye ḳhatā aap kī nahīñ
vahdat kā vo surūr thā saaqī ke jaam meñ
piine ko ham ne pī hai magar be-ḳhudī nahīñ
pūchhā thā bevafā to na paayā raqīb ko
maiñ ne bhī kis maze se kahā hai ki jī nahīñ
khāne ko zaḳhm milte haiñ piine ko ashk haiñ
rozī jahāñ haiñ kyā mirī taqdīr kī nahīñ
āshiq ke zaḳhm dekh ke iisā ne kah diyā
ye to nazar kī choT hai talvār kī nahīñ
tishna-laboñ kī jaan hai shamshīr-e-āb-dār
ḳhvāhish unheñ to kausar-o-tasnīm kī nahīñ
jumbish huī hai dashna-e-ġhamza ko be-sabab
allāh ḳhair ālam-e-asbāb kī nahīñ
jis samt aañkh uThtī hai kushtoñ kā Dher hai
maqtal hai āshiqoñ kā tumhārī galī nahīñ
jannat se kuchh ġharaz hai na duniyā se vāsta
ma.ashūq apnā huur nahīñ hai parī nahīñ
ḳhāna-ḳharāb-e-ishq kī hālat na pūchhiye
koī bhī ġham-gusār ba-juz bekasī nahīñ
inkār ab to is lab-e-nāzuk se ho chukā
pahlī sī shakl ġhuncha-e-ummīd kī nahīñ
tū ḳhāna-zād-e-zulf ko āzād kyuuñ kare
maiñ to tirā ġhulām huuñ maiñ aadmī nahīñ
hūroñ ko bhej kar mirī hālat to pūchhiye
kunj-e-mazār bā.is-e-dil-bastagī nahīñ
ik māh-rū kī yaad ne chamkā diyā hai dil
siina hai daaġh daaġh magar tīrgī nahīñ
tāsīr aah kī kabhī tum ko dikhā.eñge
ham haiñ to gumbad-e-falak-e-chambarī nahīñ
bārish hī ko ulaT ke banā do na tum sharāb
tum ko zarā mazāq-e-adab-parvarī nahīñ
rotā hai koī dil ko koī apnā jaan kar
Daaka hai lūT-mār hai ye dilbarī nahīñ
āñkhoñ se qatl karte ho lab se jalāte ho
phir ye kamāl kyā hai jo afsūñ-garī nahīñ
tālib kī aañkh kartī hai ḳhīra shuā-e-husn
parda hai us kā naam ye be-pardagī nahīñ
zamzam haram se aatā hai 'rāsiḳh' ke vāste
vo ḳhāna-e-ḳhudā hai vahāñ kuchh kamī nahīñ
'rāsiḳh' kise sunā.eñ ham apnā bayān-e-ġham
'ġhālib' nahīñ 'anīs' nahīñ 'anvarī' nahīñ
duniya mein koi ranj se baDh kar KHushi nahin
wo bhi hamein nasib kabhi hai kabhi nahin
dard-e-jigar ki tum pe musibat paDi nahin
tum to kahoge ishq ki manzil kaDi nahin
dushman ki rah rok ke baiTha hun aaj main
duniya ka rasta hai tumhaari gali nahin
dushman ki maut ka tumhein kyunkar na ho malal
ek ba-wafa jahan mein wahi tha wahi nahin
shoKHi kisi ki khul gai aaKHir kalim par
karne ki thi jo baat wahi un se ki nahin
qatron ke lab pe shor-e-anal-bahr hai rawan
taqlid kya ye hazrat-e-mansur ki nahin
ifa-e-ahd hai ki qayamat ka shor hai
tum khul ke kah na do ki zaban hum ne di nahin
laila ne KHud qarar diya hai wafa ko jurm
majnun ne wo kitab-e-mohabbat paDhi nahin
kaTne ko kaT rahi hai barabar shab-e-firaq
jine ko ji raha hun magar zindagi nahin
tum ko fareb-e-ghair se aagah kar diya
warna mujhe kisi se koi dushmani nahin
rota hai be-sabaati-e-gulzar-e-dahr par
ghunche ke lab pe ghaur se dekho hansi nahin
aankhon ne phuT phuT ke sab haal kah diya
ain-e-visal mein bhi yahan KHamushi nahin
pir-e-mughan ke faiz se raushan hai mai-kada
saghar ka jo murid nahin muttaqi nahin
aaram se qafas mein guzarunga zindagi
achchha hua ki taqat-e-parwaz hi nahin
aati hai KHak-e-tur se ab tak yahi KHuda
dil ki lagi ka zikr koi dil-lagi nahin
aashiq ke dam se husn ki duniya ko hai farogh
bulbul nahin to raunaq-e-gulzar hi nahin
dilbar ke intiKHab mein mujh se KHata hui
mera qusur hai ye KHata aap ki nahin
wahdat ka wo surur tha saqi ke jam mein
pine ko hum ne pi hai magar be-KHudi nahin
puchha tha bewafa to na paya raqib ko
main ne bhi kis maze se kaha hai ki ji nahin
khane ko zaKHm milte hain pine ko ashk hain
rozi jahan hain kya meri taqdir ki nahin
aashiq ke zaKHm dekh ke isa ne kah diya
ye to nazar ki choT hai talwar ki nahin
tishna-labon ki jaan hai shamshir-e-ab-dar
KHwahish unhen to kausar-o-tasnim ki nahin
jumbish hui hai dashna-e-ghamza ko be-sabab
allah KHair aalam-e-asbab ki nahin
jis samt aankh uThti hai kushton ka Dher hai
maqtal hai aashiqon ka tumhaari gali nahin
jannat se kuchh gharaz hai na duniya se wasta
mashuq apna hur nahin hai pari nahin
KHana-KHarab-e-ishq ki haalat na puchhiye
koi bhi gham-gusar ba-juz bekasi nahin
inkar ab to is lab-e-nazuk se ho chuka
pahli si shakl ghuncha-e-ummid ki nahin
tu KHana-zad-e-zulf ko aazad kyun kare
main to tera ghulam hun main aadmi nahin
huron ko bhej kar meri haalat to puchhiye
kunj-e-mazar bais-e-dil-bastagi nahin
ek mah-ru ki yaad ne chamka diya hai dil
sina hai dagh dagh magar tirgi nahin
tasir aah ki kabhi tum ko dikhaenge
hum hain to gumbad-e-falak-e-chambari nahin
barish hi ko ulaT ke bana do na tum sharab
tum ko zara mazaq-e-adab-parwari nahin
rota hai koi dil ko koi apna jaan kar
Daka hai luT-mar hai ye dilbari nahin
aankhon se qatl karte ho lab se jalate ho
phir ye kamal kya hai jo afsun-gari nahin
talib ki aankh karti hai KHira shua-e-husn
parda hai us ka nam ye be-pardagi nahin
zamzam haram se aata hai 'rasiKH' ke waste
wo KHana-e-KHuda hai wahan kuchh kami nahin
'rasiKH' kise sunaen hum apna bayan-e-gham
'ghaalib' nahin 'anis' nahin 'anwari' nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.