duniya mein koi tujh sa bashar ho nahin sakta
duniya mein koi tujh sa bashar ho nahin sakta
Faheemuddin Ahmad Faheem
MORE BYFaheemuddin Ahmad Faheem
duniyā meñ koī tujh sā bashar ho nahīñ saktā
yuuñ koī kahe laakh magar ho nahīñ saktā
jo kaam hai dil kā vo jigar kar nahīñ saktā
ye dard idhar kā hai udhar ho nahīñ saktā
kyā baiThe haiñ bekār ab uThiye bhī yahāñ se
aġhyār kā ghar aap kā ghar ho nahīñ saktā
ai qalb zarā tū hī kashish apnī dikhā de
nāloñ meñ hamāre to asar ho nahīñ saktā
vo dekh chuke ḳhuub sā jab naḳhl-e-mohabbat
kahne lage is meñ to samar ho nahīñ saktā
maujūd har ik jā hai vo ai nāseh-e-nā-fahm
kā'ba hī ik allāh kā ghar ho nahīñ saktā
duniyā meñ hasīñ laakh hoñ lekin mujhe kyā kaam
ye dil ab idhar se to udhar ho nahīñ saktā
duniyā meñ hasīñ laakh hoñ lekin mujhe kyā kaam
ye dil ab idhar se to udhar ho nahīñ saktā
aañsū kī jhaḌī tū hī lagā de vo na jāneñ
kuchh tujh se to ai dīda-e-tar ho nahīñ saktā
jo chāho kaho ġhair kī tā'rīf meñ lekin
ye siina ye dil aur ye jigar ho nahīñ saktā
haq ye hai ki us āriz-e-pur-nūr ke aage
sarsabz kabhī bhī gul-e-tar ho nahīñ saktā
ai bād-e-sahar hukm jo us kā na ho tujh se
tinkā bhī idhar se to udhar ho nahīñ saktā
allāh musībat se shab-e-ġham kī bachā.e
insān kā patthar kā jigar ho nahīñ saktā
be-fā.eda ġhairoñ se ulajhte haiñ 'fahīm' aap
is se to koī un kā zarar ho nahīñ saktā
duniya mein koi tujh sa bashar ho nahin sakta
yun koi kahe lakh magar ho nahin sakta
jo kaam hai dil ka wo jigar kar nahin sakta
ye dard idhar ka hai udhar ho nahin sakta
kya baiThe hain bekar ab uThiye bhi yahan se
aghyar ka ghar aap ka ghar ho nahin sakta
ai qalb zara tu hi kashish apni dikha de
nalon mein hamare to asar ho nahin sakta
wo dekh chuke KHub sa jab naKHl-e-mohabbat
kahne lage is mein to samar ho nahin sakta
maujud har ek ja hai wo ai naseh-e-na-fahm
ka'ba hi ek allah ka ghar ho nahin sakta
duniya mein hasin lakh hon lekin mujhe kya kaam
ye dil ab idhar se to udhar ho nahin sakta
duniya mein hasin lakh hon lekin mujhe kya kaam
ye dil ab idhar se to udhar ho nahin sakta
aansu ki jhaDi tu hi laga de wo na jaanen
kuchh tujh se to ai dida-e-tar ho nahin sakta
jo chaho kaho ghair ki ta'rif mein lekin
ye sina ye dil aur ye jigar ho nahin sakta
haq ye hai ki us aariz-e-pur-nur ke aage
sarsabz kabhi bhi gul-e-tar ho nahin sakta
ai baad-e-sahar hukm jo us ka na ho tujh se
tinka bhi idhar se to udhar ho nahin sakta
allah musibat se shab-e-gham ki bachae
insan ka patthar ka jigar ho nahin sakta
be-faeda ghairon se ulajhte hain 'fahim' aap
is se to koi un ka zarar ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.