duniya mein rah ke duniya mein shamil nahin hun main
duniyā meñ rah ke duniyā meñ shāmil nahīñ huuñ maiñ
lagtā hai is jahān ke qābil nahīñ huuñ maiñ
chhīñTe mirī qabā pe haiñ mere hī ḳhuun ke
maqtūl huuñ maiñ dosto qātil nahīñ huuñ maiñ
kis haq se rok luuñ tujhe o jaane vaale maiñ
sāthī tirā sahī tirī manzil nahīñ huuñ maiñ
ḳhairāt jaan kar mujhe dete ho diid kyoñ
'āshiq huuñ maiñ janāb kā saa.il nahīñ huuñ maiñ
qismat meñ merī likkhī haiñ dar-dar kī Thokareñ
gard-e-safar huuñ raunaq-e-mahfil nahīñ huuñ maiñ
milnā hai ḳhaak meñ mujhe kahtā hai jism ye
detā hai dil sadā ki faqat gul nahīñ huuñ maiñ
fikr-e-suḳhan ko chhoḌ ke aatā hai kyā mujhe
har-chand is hunar meñ bhī kāmil nahīñ huuñ maiñ
yuuñ to kamī nahīñ hai kisī chiiz kī mujhe
hargiz tire baġhair mukammal nahīñ huuñ maiñ
aglā qadam uThā tū 'sadā' dil se pūchh kar
ab 'aql kī salāh kā qaa.il nahīñ huuñ maiñ
duniya mein rah ke duniya mein shamil nahin hun main
lagta hai is jahan ke qabil nahin hun main
chhinTe meri qaba pe hain mere hi KHun ke
maqtul hun main dosto qatil nahin hun main
kis haq se rok lun tujhe o jaane wale main
sathi tera sahi teri manzil nahin hun main
KHairaat jaan kar mujhe dete ho did kyon
'ashiq hun main janab ka sail nahin hun main
qismat mein meri likkhi hain dar-dar ki Thokaren
gard-e-safar hun raunaq-e-mahfil nahin hun main
milna hai KHak mein mujhe kahta hai jism ye
deta hai dil sada ki faqat gul nahin hun main
fikr-e-suKHan ko chhoD ke aata hai kya mujhe
har-chand is hunar mein bhi kaamil nahin hun main
yun to kami nahin hai kisi chiz ki mujhe
hargiz tere baghair mukammal nahin hun main
agla qadam uTha tu 'sada' dil se puchh kar
ab 'aql ki salah ka qail nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.