Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya mein wahi kuchh hai meri kar-guzari

Jamal Ehsani

duniya mein wahi kuchh hai meri kar-guzari

Jamal Ehsani

MORE BYJamal Ehsani

    duniyā meñ vahī kuchh hai mirī kār-guzārī

    jo 'umr sar-e-kūcha-e-dildār guzārī

    ham ko bhī sharaf baḳhsh kabhī dar-ba-darī

    us aañkh se ye 'arz ka.ī baar guzārī

    dil vaar diyā us ke dar-o-bām pe maiñ ne

    jaañ nazr sar-e-sāya-e-dīvār guzārī

    aaj us se mile haiñ to ye mahsūs huā hai

    jitnī bhī guzārī hai vo bekār guzārī

    ḳhud se kabhī haar kabhī jiit gayā maiñ

    ḳhud se sadā barsar-e-paikār guzārī

    har aan maiñ masrūf-e-mohabbat rahā lekin

    likkhī nahīñ us ne mirī kār-guzārī

    is dil zamīñ sair-gah-e-'ishq hai aisī

    tā'tīl yahāñ us ne ka.ī baar guzārī

    duniya mein wahi kuchh hai meri kar-guzari

    jo 'umr sar-e-kucha-e-dildar guzari

    hum ko bhi sharaf baKHsh kabhi dar-ba-dari ka

    us aankh se ye 'arz kai bar guzari

    dil war diya us ke dar-o-baam pe main ne

    jaan nazr sar-e-saya-e-diwar guzari

    aaj us se mile hain to ye mahsus hua hai

    jitni bhi guzari hai wo bekar guzari

    KHud hi se kabhi haar kabhi jit gaya main

    KHud hi se sada barsar-e-paikar guzari

    har aan main masruf-e-mohabbat raha lekin

    likkhi hi nahin us ne meri kar-guzari

    is dil ki zamin sair-gah-e-'ishq hai aisi

    ta'til yahan us ne kai bar guzari

    Source :
    • Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 92)
    • Author :Jamal Ehsani
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now