duniya mein wahi log bure hain jo bhale hain
duniya mein wahi log bure hain jo bhale hain
Vijendra Singh Parwaz
MORE BYVijendra Singh Parwaz
duniyā meñ vahī log bure haiñ jo bhale haiñ
DhūñDoge añdhere to charāġhoñ ke tale haiñ
chhoḌā na gayā dhuup meñ jis peḌ kā saayā
āñdhī meñ usī peḌ se ham bach ke chale haiñ
ye dekhiye phir bhī na badal paa.ī ye duniyā
logoñ ne to bhūloñ pe bahut haath male haiñ
vo bhī to hameñ chhoḌ ke ruḳhsat hue kab ke
ham jin ke añdheroñ meñ charāġhoñ se jale haiñ
ūñchā.iyāñ hāsil huiiñ taqdīr se jin ko
ik roz vo sab log bhī sūraj se Dhale haiñ
taqdīr ne un ko bhī sitāroñ pe biThāyā
'parvāz' jo insān ġharībī meñ pale haiñ
duniya mein wahi log bure hain jo bhale hain
DhunDoge andhere to charaghon ke tale hain
chhoDa na gaya dhup mein jis peD ka saya
aandhi mein usi peD se hum bach ke chale hain
ye dekhiye phir bhi na badal pai ye duniya
logon ne to bhulon pe bahut hath male hain
wo bhi to hamein chhoD ke ruKHsat hue kab ke
hum jin ke andheron mein charaghon se jale hain
unchaiyan hasil huin taqdir se jin ko
ek roz wo sab log bhi suraj se Dhale hain
taqdir ne un ko bhi sitaron pe biThaya
'parwaz' jo insan gharibi mein pale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.