duniya mein yahi chor banata hai asas ko
duniya mein yahi chor banata hai asas ko
Mirza Maseeta Beg Muntahi
MORE BYMirza Maseeta Beg Muntahi
duniyā meñ yahī chor banātā hai asas ko
allāh kare qat.a kahīñ dast-e-havas ko
dil detā huuñ maiñ qāmat-e-dil-dār ko apnā
laTkātā huuñ maiñ naḳhl-e-mohabbat meñ qafas ko
jaisā ki ye dil dām-e-mohabbat meñ phañsā hai
kam dekhtā huuñ murġh-e-giraftār-e-qafas ko
nikle haiñ ḳhat-o-ḳhāl lab-e-yār ke nazdīk
allāh ne diyā shahd-o-shakar mor-o-magas ko
dauḌātī hai ye ruuh mirī jism ko har-sū
asvār uḌātā hai zamāne meñ faras ko
zaḳhm-e-dil-e-shaidā huā achchhā na masīhā
ḳhayyāt-e-azal sil na sakā chāk-e-qafas ko
rahte the ham-āġhosh javānī meñ butoñ se
is piirī ke aate hī tarasne lage mas ko
kab pech se is rishtha-e-ulfat ke chhutūñgā
toḌūñgā na jab tak ki maiñ is tār-e-nafas ko
bīmārī-e-ulfat se jo maiñ bach gayā nāseh
Tal jā.ūñgā ab kī kahīñ do-chār baras ko
dāman kā nishāñ hai na garebāñ kā patā hai
ai dast-e-junūñ māntā huuñ maiñ tire bas ko
sayyād jo dekhe mujhe ulfat kī nazar se
gulzār se behtar kahīñ samjhūñ maiñ qafas ko
ai dil kabhī kahne kā nahīñ rāz-e-mohabbat
is dasht meñ dauḌā na tabī.at ke faras ko
dil detā hai us tifl-e-parī-zād ko nādāñ
kyuuñ 'muntahī' sho.ale se bhiḌātā hai tū ḳhas ko
duniya mein yahi chor banata hai asas ko
allah kare qata kahin dast-e-hawas ko
dil deta hun main qamat-e-dil-dar ko apna
laTkata hun main naKHl-e-mohabbat mein qafas ko
jaisa ki ye dil dam-e-mohabbat mein phansa hai
kam dekhta hun murgh-e-giraftar-e-qafas ko
nikle hain KHat-o-KHal lab-e-yar ke nazdik
allah ne diya shahd-o-shakar mor-o-magas ko
dauDati hai ye ruh meri jism ko har-su
aswar uData hai zamane mein faras ko
zaKHm-e-dil-e-shaida hua achchha na masiha
KHayyat-e-azal sil na saka chaak-e-qafas ko
rahte the ham-aghosh jawani mein buton se
is piri ke aate hi tarasne lage mas ko
kab pech se is rishtha-e-ulfat ke chhutunga
toDunga na jab tak ki main is tar-e-nafas ko
bimari-e-ulfat se jo main bach gaya naseh
Tal jaunga ab ki kahin do-chaar baras ko
daman ka nishan hai na gareban ka pata hai
ai dast-e-junun manta hun main tere bas ko
sayyaad jo dekhe mujhe ulfat ki nazar se
gulzar se behtar kahin samjhun main qafas ko
ai dil kabhi kahne ka nahin raaz-e-mohabbat
is dasht mein dauDa na tabiat ke faras ko
dil deta hai us tifl-e-pari-zad ko nadan
kyun 'muntahi' shoale se bhiData hai tu KHas ko
- Deewan-e-MuntahiáKaristan-e-Fasahatâ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.