duniya ne jab Daraya to Darne mein lag gaya
duniyā ne jab Darāyā to Darne meñ lag gayā
dil phir bhī pyaar aap se karne meñ lag gayā
shāyad kahīñ se aap kī ḳhushbū pahuñch ga.ī
māhaul jaan o dil kā sañvarne meñ lag gayā
ik naqsh mauj-e-āb se barham huā to kyā
ik naqsh zer-e-āb ubharne meñ lag gayā
'jāved' nazd-e-āb-e-ravāñ kah gayā faqīr
dariyā meñ jo gayā vo guzarne meñ lag gayā
duniya ne jab Daraya to Darne mein lag gaya
dil phir bhi pyar aap se karne mein lag gaya
shayad kahin se aap ki KHushbu pahunch gai
mahaul jaan o dil ka sanwarne mein lag gaya
ek naqsh mauj-e-ab se barham hua to kya
ek naqsh zer-e-ab ubharne mein lag gaya
'jawed' nazd-e-ab-e-rawan kah gaya faqir
dariya mein jo gaya wo guzarne mein lag gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.