duniya pe mere fan ka asar baad mein hua
duniyā pe mere fan kā asar baad meñ huā
pahle to aib thā ye hunar baad meñ huā
barsoñ sarāb ban ke rahā merī aañkh meñ
ik shaḳhs vo jo dīda-e-tar baad meñ huā
sohbat meñ merī thā to kushāda thī us kī fikr
vo tang-zehn tang-nazar baad meñ huā
ik sher raat zehn ke kāġhaz pe niiñd meñ
hone se rah gayā thā magar baad meñ huā
kūche se us ne mujh ko nikālā to shor kyoñ
aadam kā bhī bahisht-badar baad meñ huā
kahte haiñ log us kī to fitrat thī dhuup kī
vo shaḳhs chaltā phirtā shajar baad meñ huā
ham ḳhānqāh-e-ishq ke pahle murīd haiñ
majnūñ kā to idhar se guzar baad meñ huā
'dilbar' ne baar baar ujāḌā hai luuT kar
ābād apne dil kā nagar baad meñ huā
duniya pe mere fan ka asar baad mein hua
pahle to aib tha ye hunar baad mein hua
barson sarab ban ke raha meri aankh mein
ek shaKHs wo jo dida-e-tar baad mein hua
sohbat mein meri tha to kushada thi us ki fikr
wo tang-zehn tang-nazar baad mein hua
ek sher raat zehn ke kaghaz pe nind mein
hone se rah gaya tha magar baad mein hua
kuche se us ne mujh ko nikala to shor kyon
aadam ka bhi bahisht-badar baad mein hua
kahte hain log us ki to fitrat thi dhup ki
wo shaKHs chalta phirta shajar baad mein hua
hum KHanqah-e-ishq ke pahle murid hain
majnun ka to idhar se guzar baad mein hua
'dilbar' ne bar bar ujaDa hai luT kar
aabaad apne dil ka nagar baad mein hua
- Book : Word File Mail By Kumail Haider
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.