duniya phulon ki shaidai kanTon ko apnae kaun
duniyā phūloñ kī shaidā.ī kāñToñ ko apnā.e kaun
achchhe vaqt ke sāthī sab haiñ dukh meñ haath baTā.e kaun
asr-e-nau kā shā.ir apnī zaat ke ḳhol meñ hai mahbūs
fikr-o-fan ke phuul khilā kar shahr-e-ġhazal mahkā.e kaun
lafzoñ ko talvār banā kar khel rahe haiñ farzāne
kyā hogā anjām-e-ma.ānī samjhe aur samjhā.e kaun
saaqī ke har izn-o-ishāra par bhī maiñ pyāsā hī rahā
yaaro mujh ko sharm ye aa.ī tanhā jaam uThā.e kaun
un par kaise uñglī uThe un par kaise tohmat aa.e
vo to faqīh-e-shahr haiñ yaaro un kā jurm batā.e kaun
tum ne diye jalā.e ham ne apnā ḳhuun jalāyā hai
kal tārīḳh likhegī us ko aaj ye baat baḌhā.e kaun
ham sab mujrim ham sab munsif kaun dhare kis par ilzām
talḳh bahut hai jām-e-sadāqat is ko haath lagā.e kaun
har mīnā-bāzār se 'mehdī' aañkh bachā kar guzrā huuñ
peT ke rog se fursat kab hai dil kā rog lagā.e kaun
duniya phulon ki shaidai kanTon ko apnae kaun
achchhe waqt ke sathi sab hain dukh mein hath baTae kaun
asr-e-nau ka shair apni zat ke KHol mein hai mahbus
fikr-o-fan ke phul khila kar shahr-e-ghazal mahkae kaun
lafzon ko talwar bana kar khel rahe hain farzane
kya hoga anjam-e-maani samjhe aur samjhae kaun
saqi ke har izn-o-ishaara par bhi main pyasa hi raha
yaro mujh ko sharm ye aai tanha jam uThae kaun
un par kaise ungli uThe un par kaise tohmat aae
wo to faqih-e-shahr hain yaro un ka jurm batae kaun
tum ne diye jalae hum ne apna KHun jalaya hai
kal tariKH likhegi us ko aaj ye baat baDhae kaun
hum sab mujrim hum sab munsif kaun dhare kis par ilzam
talKH bahut hai jam-e-sadaqat is ko hath lagae kaun
har mina-bazar se 'mehdi' aankh bacha kar guzra hun
peT ke rog se fursat kab hai dil ka rog lagae kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.