duniya sab aaram kare hai
duniyā sab ārām kare hai
qismat apnā kaam kare hai
zauq-e-talab meñ dil dīvāna
sajde har har gaam kare hai
yaas kā ik halkā sā jhoñkā
har koshish nākām kare hai
phūloñ kā dam bharne vaalā
kāñToñ ko badnām kare hai
hañste hañste kaaT de sab din
ro ro kar kyoñ shaam kare hai
apnī paḌī hai 'sāqī' tujh ko
mai-kash fikr-e-jām kare hai
duniya sab aaram kare hai
qismat apna kaam kare hai
zauq-e-talab mein dil diwana
sajde har har gam kare hai
yas ka ek halka sa jhonka
har koshish nakaam kare hai
phulon ka dam bharne wala
kanTon ko badnam kare hai
hanste hanste kaT de sab din
ro ro kar kyon sham kare hai
apni paDi hai 'saqi' tujh ko
mai-kash fikr-e-jam kare hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.