duniya se aql-o-faham ke aasar mar gae
duniyā se aql-o-faham ke āsār mar ga.e
saa.e to jī uThe dar-o-dīvār mar ga.e
kashtī-e-zīst paar na lag paa.ī le ke vo
aql-o-ḳhirad kā haath meñ patvār mar ga.e
jin ko thā ḳhauf maut kā apnī hayāt meñ
ik baar kyā mare vo ka.ī baar mar ga.e
thā imtihān-e-shauq kyā naqd-e-jāñ qubūl
ho kar ḳhushī se ham baḌe sarshār mar ga.e
ḳhushbū uḌā ke laa.e the dāmān-e-yār se
is mudda.ā-e-shauq ke iz.hār mar ga.e
jannat milī na huur gayā ittiqā kahāñ
malte haiñ 'dard' haath ki be-kār mar ga.e
duniya se aql-o-faham ke aasar mar gae
sae to ji uThe dar-o-diwar mar gae
kashti-e-zist par na lag pai le ke wo
aql-o-KHirad ka hath mein patwar mar gae
jin ko tha KHauf maut ka apni hayat mein
ek bar kya mare wo kai bar mar gae
tha imtihan-e-shauq kya naqd-e-jaan qubul
ho kar KHushi se hum baDe sarshaar mar gae
KHushbu uDa ke lae the daman-e-yar se
is muddaa-e-shauq ke izhaar mar gae
jannat mili na hur gaya ittiqa kahan
malte hain 'dard' hath ki be-kar mar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.