duniya se be-shumar musalman guzar gae
duniyā se be-shumār musalmāñ guzar ga.e
husn-e-azal pe shashdar-o-hairāñ guzar ga.e
mumkin na thā ki diid kī ne.amat yahāñ mile
dil meñ liye visāl ke armāñ guzar ga.e
insāniyat ko naaz thā jin ke vajūd par
aise bhī jaane kitne hī insāñ guzar ga.e
aalam fanā-pazīr hai baaqī hai zāt-e-haq
lākhoñ karoḌoñ hazrat-e-insāñ guzar ga.e
tūfāñ jo uTh rahā hai vo baiThegā ek din
aise na jaane kitne hī tūfāñ guzar ga.e
islām kā muhāfiz-o-nigarāñ hai ḳhud ḳhudā
ham jaise jaane kitne musalmāñ guzar ga.e
husn-e-azal hai aaj bhī jalva-fagan 'urūj'
husn-e-azal ke laakh ġhazal-ḳhvāñ guzar ga.e
duniya se be-shumar musalman guzar gae
husn-e-azal pe shashdar-o-hairan guzar gae
mumkin na tha ki did ki neamat yahan mile
dil mein liye visal ke arman guzar gae
insaniyat ko naz tha jin ke wajud par
aise bhi jaane kitne hi insan guzar gae
aalam fana-pazir hai baqi hai zat-e-haq
lakhon karoDon hazrat-e-insan guzar gae
tufan jo uTh raha hai wo baiThega ek din
aise na jaane kitne hi tufan guzar gae
islam ka muhafiz-o-nigaran hai KHud KHuda
hum jaise jaane kitne musalman guzar gae
husn-e-azal hai aaj bhi jalwa-fagan 'uruj'
husn-e-azal ke lakh ghazal-KHwan guzar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.