duniya se jise koi sarokar nahin hai
duniyā se jise koī sarokār nahīñ hai
duniyā meñ vo rahne kā bhī haqdār nahīñ hai
phūloñ kī tamanna hai zamāne meñ sabhī ko
kāñToñ kā yahāñ koī talabgār nahīñ hai
chhoḌo bhī na ab ḳhvāb mohabbat ke dikhāo
dukh aur jigar sahne ko tayyār nahīñ hai
aulād kī arthī koī kandhoñ pe uThā.e
qismat kī koī is se baḌī maar nahīñ hai
māyūs na 'hīrā' ho jo tanhā hai jahāñ meñ
taqdīr meñ sab ke to likhā pyaar nahīñ hai
duniya se jise koi sarokar nahin hai
duniya mein wo rahne ka bhi haqdar nahin hai
phulon ki tamanna hai zamane mein sabhi ko
kanTon ka yahan koi talabgar nahin hai
chhoDo bhi na ab KHwab mohabbat ke dikhao
dukh aur jigar sahne ko tayyar nahin hai
aulad ki arthi koi kandhon pe uThae
qismat ki koi is se baDi mar nahin hai
mayus na 'hira' ho jo tanha hai jahan mein
taqdir mein sab ke to likha pyar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.