duniya to de rahi thi tan-asaniyan bahut
duniyā to de rahī thī tan-āsāniyāñ bahut
ham kyā kareñ ki ham meñ thiiñ ḳhuddāriyāñ bahut
hogā maze meñ chāhe kahīñ bhī tū jā base
ai yaar tujh ko aatī haiñ makkāriyāñ bahut
surḳhī lagā ke tum ko nahīñ aanā chāhiye
ghar jā ke mujh ko hotī haiñ dushvāriyāñ bahut
rīsh-e-darāz gosha-nashīñ aur siyah libās
furqat meñ lāzmī haiñ ye ġham-ḳhvāriyāñ bahut
dhokā daġhā fareb mohabbat vafā ḳhulūs
dilkash haiñ dostoñ kī adākāriyāñ bahut
maulā karegā ḳhair ye Dholak ye qumqume
haiñ is galī meñ kis liye tayyāriyāñ bahut
chhoḌo bhī yaar aaj mohabbat kā ġham nahīñ
duniyā meñ aur bhī haiñ pareshāniyāñ bahut
maiñ ne 'razā' baḌoñ ko sunā.ī thī aarzū
hotī haiñ is ḳhatā pe pashemāniyāñ bahut
duniya to de rahi thi tan-asaniyan bahut
hum kya karen ki hum mein thin KHuddariyan bahut
hoga maze mein chahe kahin bhi tu ja base
ai yar tujh ko aati hain makkariyan bahut
surKHi laga ke tum ko nahin aana chahiye
ghar ja ke mujh ko hoti hain dushwariyan bahut
rish-e-daraaz gosha-nashin aur siyah libas
furqat mein lazmi hain ye gham-KHwariyan bahut
dhoka dagha fareb mohabbat wafa KHulus
dilkash hain doston ki adakariyan bahut
maula karega KHair ye Dholak ye qumqume
hain is gali mein kis liye tayyariyan bahut
chhoDo bhi yar aaj mohabbat ka gham nahin
duniya mein aur bhi hain pareshaniyan bahut
main ne 'raza' baDon ko sunai thi aarzu
hoti hain is KHata pe pashemaniyan bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.