duniya walon ko tere KHwab jo aane lag jaen
duniyā vāloñ ko tire ḳhvāb jo aane lag jaa.eñ
shaam hote hī sabhī ḳhud ko sulāne lag jaa.eñ
kyā añdherā hī añdherā hai zamīñ ke andar
kyā charāġhoñ ko tah-e-ḳhāk dabāne lag jaa.eñ
kaash in 'ishq ke katboñ pe hoñ kandāñ ham log
kaash is 'ishq meñ ham log Thikāne lag jaa.eñ
ab bhī mauqa' hai mirī māniye dīvār ke saath
raat ye mujh se kahā merī vafā ne lag jaa.eñ
āyatoñ jaise ḳhad-o-ḳhāl ko chilman hī meñ rakh
ye na ho log tirī qasmeñ uThāne lag jaa.eñ
duniya walon ko tere KHwab jo aane lag jaen
sham hote hi sabhi KHud ko sulane lag jaen
kya andhera hi andhera hai zamin ke andar
kya charaghon ko tah-e-KHak dabane lag jaen
kash in 'ishq ke katbon pe hon kandan hum log
kash is 'ishq mein hum log Thikane lag jaen
ab bhi mauqa' hai meri maniye diwar ke sath
raat ye mujh se kaha meri wafa ne lag jaen
aayaton jaise KHad-o-KHal ko chilman hi mein rakh
ye na ho log teri qasmen uThane lag jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.