duniya wo raste ki rukawaT hai dosto
duniyā vo rāste kī rukāvaT hai dosto
jis se hameñ shadīd lagāvaT hai dosto
chhat par khaḌe haiñ phir bhī nazar āsmāñ pe hai
paanī meñ tishnagī kī milāvaT hai dosto
ik to ye rāste haiñ ki jaise hoñ dā.ere
us par masāfatoñ kī thakāvaT hai dosto
ham sab ko kyā paḌī ki ta.alluq banā.eñ ham
chehroñ pe pur-fareb banāvaT hai dosto
lamhoñ kī uñgliyoñ pe sabhī nāchne lage
ye jashn-e-zindagī kī banāvaT hai dosto
duniya wo raste ki rukawaT hai dosto
jis se hamein shadid lagawaT hai dosto
chhat par khaDe hain phir bhi nazar aasman pe hai
pani mein tishnagi ki milawaT hai dosto
ek to ye raste hain ki jaise hon daere
us par masafaton ki thakawaT hai dosto
hum sab ko kya paDi ki talluq banaen hum
chehron pe pur-fareb banawaT hai dosto
lamhon ki ungliyon pe sabhi nachne lage
ye jashn-e-zindagi ki banawaT hai dosto
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.