durun-e-chashm nai chashm-e-tar banana hai
durūn-e-chashm na.ī chashm-e-tar banānā hai
ki aañkh ko hī mohabbat kā ghar banānā hai
hamāre ġham kā mudāvā na kar sake ye din
sukūt-e-shab ko hī ab chārāgar banānā hai
ai 'ishq aur guzār apne imtihāñ se hameñ
ye ziist aur abhī kārgar banānā hai
ayaañ ho hijr kā ġham aisā ek naqshe meñ
banā na paayā abhī tak magar banānā hai
vo jis kā naqsh-e-kaf-e-pā hai rahguzar 'āmir'
usī ke 'ishq ko zād-e-safar banānā hai
durun-e-chashm nai chashm-e-tar banana hai
ki aankh ko hi mohabbat ka ghar banana hai
hamare gham ka mudawa na kar sake ye din
sukut-e-shab ko hi ab chaaragar banana hai
ai 'ishq aur guzar apne imtihan se hamein
ye zist aur abhi kargar banana hai
ayan ho hijr ka gham aisa ek naqshe mein
bana na paya abhi tak magar banana hai
wo jis ka naqsh-e-kaf-e-pa hai rahguzar 'amir'
usi ke 'ishq ko zad-e-safar banana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.