dushman apna bhi nahin koi fasadi bhi nahin
dushman apna bhi nahin koi fasadi bhi nahin
Syed Zamin Abbas Kazmi
MORE BYSyed Zamin Abbas Kazmi
dushman apnā bhī nahīñ koī fasādī bhī nahīñ
baat idhar kī maiñ udhar karne kā aadī bhī nahīñ
tujh ko dekhā gayā aur der talak parkhā gayā
hijr kā faisla kuchh ġhair-irādī bhī nahīñ
marg-e-ehsās pe is darja ḳhamoshī duniyā
koī elaan nahīñ koī munādī bhī nahīñ
maiñ use zehn meñ har vaqt liye phirtā rahā
jis ne pahlū meñ mujhe apne jagah dī bhī nahīñ
us kī tasvīr banātā rahā jadval kī bajā.e
aur is baar to madam ne sazā dī bhī nahīñ
ye alag baat mirā mas.ala maada hai magar
dekhā jaa.e to mirā mas.ala maadī bhī nahīñ
dushman apna bhi nahin koi fasadi bhi nahin
baat idhar ki main udhar karne ka aadi bhi nahin
tujh ko dekha gaya aur der talak parkha gaya
hijr ka faisla kuchh ghair-iradi bhi nahin
marg-e-ehsas pe is darja KHamoshi duniya
koi elan nahin koi munadi bhi nahin
main use zehn mein har waqt liye phirta raha
jis ne pahlu mein mujhe apne jagah di bhi nahin
us ki taswir banata raha jadwal ki bajae
aur is bar to madam ne saza di bhi nahin
ye alag baat mera masala mada hai magar
dekha jae to mera masala madi bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.