dushman-e-jaan bana guman apna
dushman-e-jāñ banā gumāñ apnā
ḳhatm kar degā ye jahāñ apnā
saare da.ave hue ġhalat sābit
jal gayā pal meñ hī makāñ apnā
ham ne bhī us ko āzmāyā thā
vo bhī to legā imtihāñ apnā
lā.eq-e-e.atibār hī kab thā
vo badal degā phir bayāñ apnā
ham nikal kar safar pe dekheñge
din guzartā hai phir kahāñ apnā
raaz jalne kā kar diyā afshāñ
dil se uThtā huā dhuāñ apnā
ġharq kashtī na ho kahīñ jā kar
chhūTā jaatā hai bādbāñ apnā
dushman-e-jaan bana guman apna
KHatm kar dega ye jahan apna
sare dawe hue ghalat sabit
jal gaya pal mein hi makan apna
hum ne bhi us ko aazmaya tha
wo bhi to lega imtihan apna
laeq-e-eatibar hi kab tha
wo badal dega phir bayan apna
hum nikal kar safar pe dekhenge
din guzarta hai phir kahan apna
raaz jalne ka kar diya afshan
dil se uThta hua dhuan apna
gharq kashti na ho kahin ja kar
chhuTa jata hai baadban apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.