dushman-e-jaan kai qabile hue
dushman-e-jāñ ka.ī qabīle hue
phir bhī ḳhushbū ke haath piile hue
bad-gumānī ke sard mausam meñ
merī guḌiyā ke haath niile hue
jab zamīñ kī zabāñ chaTaḳhne lagī
tab kahīñ bārishoñ ke hiile hue
vaqt ne ḳhaak vo uḌaa.ī hai
shahr ābād the jo Tiile hue
jab parindoñ kī saañs rukne lagī
tab havāoñ ke kuchh vasīle hue
koī bārish thī bad-gumānī kī
saare kāġhaz hī dil ke giile hue
dushman-e-jaan kai qabile hue
phir bhi KHushbu ke hath pile hue
bad-gumani ke sard mausam mein
meri guDiya ke hath nile hue
jab zamin ki zaban chaTaKHne lagi
tab kahin barishon ke hile hue
waqt ne KHak wo uDai hai
shahr aabaad the jo Tile hue
jab parindon ki sans rukne lagi
tab hawaon ke kuchh wasile hue
koi barish thi bad-gumani ki
sare kaghaz hi dil ke gile hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.