dushman hi jaanti thi meri zindagi mujhe
dushman hi jaanti thi meri zindagi mujhe
Mirza Ghulam Abbas Zahir Haidari
MORE BYMirza Ghulam Abbas Zahir Haidari
dushman hī jāntī thī mirī zindagī mujhe
dhokā qadam qadam pe jo detī ga.ī mujhe
ai chashm-e-fitna-sāz kahāñ le ga.ī mujhe
ab naam dhar rahe haiñ jahāñ meñ sabhī mujhe
zauq-e-nazar ne diid kī mohlat na dī mujhe
jalvoñ kī tere varna kamī kuchh na thī mujhe
maiñ to tumhārī yaad meñ mar jā.ūñ yā jiyūñ
tum ko qasam hai yaad na karnā kabhī mujhe
andāz dilbarī ke agar husn ko mile
husn-āshnā nigāh-e-mohabbat milī mujhe
allah re mere ashk-e-nadāmat kī bekasī
vaj.h-e-nuzūl rahmat-e-haq ban ga.ī mujhe
‘zāhir’ milā hai tuur kā surma avaam ko
ḳhāk-e-dar-e-habīb mayassar huī mujhe
dushman hi jaanti thi meri zindagi mujhe
dhoka qadam qadam pe jo deti gai mujhe
ai chashm-e-fitna-saz kahan le gai mujhe
ab nam dhar rahe hain jahan mein sabhi mujhe
zauq-e-nazar ne did ki mohlat na di mujhe
jalwon ki tere warna kami kuchh na thi mujhe
main to tumhaari yaad mein mar jaun ya jiyun
tum ko qasam hai yaad na karna kabhi mujhe
andaz dilbari ke agar husn ko mile
husn-ashna nigah-e-mohabbat mili mujhe
allah re mere ashk-e-nadamat ki bekasi
wajh-e-nuzul rahmat-e-haq ban gai mujhe
‘zahir’ mila hai tur ka surma awam ko
KHak-e-dar-e-habib mayassar hui mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.