dushman ke ghar rahe na hamare yahan rahe
dushman ke ghar rahe na hamāre yahāñ rahe
āḳhir phir itnī raat ga.e tak kahāñ rahe
do din bhī jab chaman meñ na ham shādmāñ rahe
phir ham ko kyā bahār rahe yā ḳhizāñ rahe
saaqī nahīñ to darham-o-barham hai anjuman
shīsha kahāñ rahegā surāhī kahāñ rahe
kyā jāneñ aap dil kī lagī ko ḳhatā mu'āf
ye aag vo nahīñ ki lage to dhuāñ rahe
mahfil udaas sāġhar-o-mīnā udaas hai
mai-kash hai dam-ba-ḳhud ki rahe tū kahāñ rahe
hangām-e-naz’ aa.e ho taskīn ke liye
ab dil ke zaḳhm qābil-e-marham kahāñ rahe
taakā kiye raqīb ke dar ko hazār baar
kyā kyā shab-e-firāq meñ ham bad-gumāñ rahe
kahne meñ dil ke aa ke kahīñ ke nahīñ rahe
rusvā-e-ḳhalq ho ke rahe ham jahāñ rahe
kaise bhulā.eñ bhūlne vaale tirā ḳhayāl
har dam jo dam ke saath rahā hai jahāñ rahe
apne parā.e kar to ga.e haiñ supurd-e-ḳhāk
ab musht-e-ḳhāk uḌ ke na jaane kahāñ rahe
'bismil' jo dekh legā zamāna kahegā kuchh
har dam jo yūñhī aañkh se aañsū ravāñ rahe
dushman ke ghar rahe na hamare yahan rahe
aaKHir phir itni raat gae tak kahan rahe
do din bhi jab chaman mein na hum shadman rahe
phir hum ko kya bahaar rahe ya KHizan rahe
saqi nahin to darham-o-barham hai anjuman
shisha kahan rahega surahi kahan rahe
kya jaanen aap dil ki lagi ko KHata mu'af
ye aag wo nahin ki lage to dhuan rahe
mahfil udas saghar-o-mina udas hai
mai-kash hai dam-ba-KHud ki rahe tu kahan rahe
hangam-e-naz’ aae ho taskin ke liye
ab dil ke zaKHm qabil-e-marham kahan rahe
taka kiye raqib ke dar ko hazar bar
kya kya shab-e-firaq mein hum bad-guman rahe
kahne mein dil ke aa ke kahin ke nahin rahe
ruswa-e-KHalq ho ke rahe hum jahan rahe
kaise bhulaen bhulne wale tera KHayal
har dam jo dam ke sath raha hai jahan rahe
apne parae kar to gae hain supurd-e-KHak
ab musht-e-KHak uD ke na jaane kahan rahe
'bismil' jo dekh lega zamana kahega kuchh
har dam jo yunhi aankh se aansu rawan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.