dushman ke raston ka bhi patthar haTaenge
dushman ke rāstoñ kā bhī patthar haTā.eñge
ham chalte phirte raah meñ nekī kamā.enge
dushvār ho gayā hai khilaune ḳharīdnā
ab kaise bachche guḌiyā kī shādī rachāeñge
paapā khilaune bech ke aaTā ḳharīd lo
bhūke haiñ ghar ke log ye kis kaam ā.eñge
din dostoñ meñ kaaT bhī leñge to raat ko
tanhā.iyoñ meñ aap bahut yaad ā.eñge
dushman ke raston ka bhi patthar haTaenge
hum chalte phirte rah mein neki kamaenge
dushwar ho gaya hai khilaune KHaridna
ab kaise bachche guDiya ki shadi rachaenge
papa khilaune bech ke aaTa KHarid lo
bhuke hain ghar ke log ye kis kaam aaenge
din doston mein kaT bhi lenge to raat ko
tanhaiyon mein aap bahut yaad aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.