dushman pe rakh ke dete ho gali itab mein
dushman pe rakh ke dete ho gali itab mein
Mirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi
MORE BYMirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi
dushman pe rakh ke dete ho gaalī itaab meñ
hai har suḳhan zabāñ pe tumhārī hijāb meñ
bahr-e-jahāñ meñ ziist na ho kyoñ habāb-vār
nuqtoñ hī kā hai farq hayāt-o-habāb meñ
āñkheñ ye āshiqoñ kī haiñ tujh par lagī huiiñ
chhāpe nahīñ haiñ ye gul-e-nargis naqāb meñ
ham ābḳhūra-e-ḳhum-e-mai kī tarah asas
Duube raheñ mudām gale tak sharāb meñ
bād-e-fanā bhī shāhsavār-e-samand-e-nāz
hāzir haiñ misl-e-reg-e-ravāñ ham rikāb meñ
dozaḳh-nasīb mardum-e-ābī ko ho abhī
Tapke jo ashk-e-garm koī apnā aab meñ
har-dam ravā-ravī meñ hai ye tausan-e-habāb
har-vaqt apnā paañv hai goyā rikāb meñ
dariyā kā naam shor se mansūb ho gayā
dhoyā jo tum ne lāl-e-namak sā ko aab meñ
'sābir' faqat suḳhan meñ hai ab lutf-e-āshiqī
har baat kā maza thā shurūa-e-shabāb meñ
dushman pe rakh ke dete ho gali itab mein
hai har suKHan zaban pe tumhaari hijab mein
bahr-e-jahan mein zist na ho kyon habab-war
nuqton hi ka hai farq hayat-o-habab mein
aankhen ye aashiqon ki hain tujh par lagi huin
chhape nahin hain ye gul-e-nargis naqab mein
hum aabKHura-e-KHum-e-mai ki tarah asas
Dube rahen mudam gale tak sharab mein
baad-e-fana bhi shahsawar-e-samand-e-naz
hazir hain misl-e-reg-e-rawan hum rikab mein
dozaKH-nasib mardum-e-abi ko ho abhi
Tapke jo ashk-e-garm koi apna aab mein
har-dam rawa-rawi mein hai ye tausan-e-habab
har-waqt apna panw hai goya rikab mein
dariya ka nam shor se mansub ho gaya
dhoya jo tum ne lal-e-namak sa ko aab mein
'sabir' faqat suKHan mein hai ab lutf-e-ashiqi
har baat ka maza tha shurua-e-shabab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.