dushman se bhi hath milaya ja sakta hai
dushman se bhī haath milāyā jā saktā hai
dard kā bhī to lutf uThāyā jā saktā hai
phir se ek mohabbat bhī kī jā saktī hai
tere ġham se haath chhuḌāyā jā saktā hai
sāñjhā koī beach meñ peḌ lagā lete haiñ
jis kā donoñ ghar meñ saaya jā saktā hai
hamsā.e jo apne ghar meñ aaj nahīñ haiñ
dīvāroñ ko dard sunāyā jā saktā hai
hijr ke haath pe ḳhuddārī ko girvī rakh ke
phir se us ko phone lagāyā jā saktā hai
saarī raat ibādat to hai mushkil 'azmī'
haañ raste se sañg haTāyā jā saktā hai
dushman se bhi hath milaya ja sakta hai
dard ka bhi to lutf uThaya ja sakta hai
phir se ek mohabbat bhi ki ja sakti hai
tere gham se hath chhuDaya ja sakta hai
sanjha koi beach mein peD laga lete hain
jis ka donon ghar mein saya ja sakta hai
hamsae jo apne ghar mein aaj nahin hain
diwaron ko dard sunaya ja sakta hai
hijr ke hath pe KHuddari ko girwi rakh ke
phir se us ko phone lagaya ja sakta hai
sari raat ibaadat to hai mushkil 'azmi'
han raste se sang haTaya ja sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.