dushman se ittihad ke chakkar mein paD gaya
dushman se ittihād ke chakkar meñ paḌ gayā
har dost ab mafād ke chakkar meñ paḌ gayā
thoḌī jagah milī jo kisī kāḳh-e-husn meñ
dil saarī jā.idād ke chakkar meñ paḌ gayā
kartā rahā gurez jo ik umr vasl se
ab lams ke svaad ke chakkar meñ paḌ gayā
ik husn-e-shāndār pe kāmil ġhazal ke baad
shā.ir na.e mavād ke chakkar meñ paḌ gayā
yaksāniyat chhalakne lagī us ke sher se
jo shaḳhs infirād ke chakkar meñ paḌ gayā
paTTī ta.assubāt kī bāñdhī jo ġhair ne
apnoñ se hī jihād ke chakkar meñ paḌ gayā
achchhe suḳhan kā lutf nahīñ le sakā 'qamar'
naqqād jab inaad ke chakkar meñ paḌ gayā
dushman se ittihad ke chakkar mein paD gaya
har dost ab mafad ke chakkar mein paD gaya
thoDi jagah mili jo kisi kaKH-e-husn mein
dil sari jaidad ke chakkar mein paD gaya
karta raha gurez jo ek umr wasl se
ab lams ke swad ke chakkar mein paD gaya
ek husn-e-shandar pe kaamil ghazal ke baad
shair nae mawad ke chakkar mein paD gaya
yaksaniyat chhalakne lagi us ke sher se
jo shaKHs infirad ke chakkar mein paD gaya
paTTi tassubaat ki bandhi jo ghair ne
apnon se hi jihad ke chakkar mein paD gaya
achchhe suKHan ka lutf nahin le saka 'qamar'
naqqad jab inad ke chakkar mein paD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.