dushman to mere tan se lahu chusta raha
dushman to mere tan se lahū chūstā rahā
maiñ dam-ba-ḳhud khaḌā hī use dekhtā rahā
jo phuul jhaḌ ga.e the jo aañsū bikhar ga.e
ḳhāk-e-chaman se un kā patā pūchhtā rahā
maiñ paar kar chukā thā hazīmat kī manzileñ
har chand dushmanoñ ke barābar khaḌā rahā
palkoñ pe jhūltī huī shaffāf chilmaneñ
kal raat merā un se ajab silsila rahā
us sañg-e-dil ke paas kahāñ the vafā ke phuul
'anvar-sadīd' jis ko sadā pūjtā rahā
dushman to mere tan se lahu chusta raha
main dam-ba-KHud khaDa hi use dekhta raha
jo phul jhaD gae the jo aansu bikhar gae
KHak-e-chaman se un ka pata puchhta raha
main par kar chuka tha hazimat ki manzilen
har chand dushmanon ke barabar khaDa raha
palkon pe jhulti hui shaffaf chilmanen
kal raat mera un se ajab silsila raha
us sang-e-dil ke pas kahan the wafa ke phul
'anwar-sadid' jis ko sada pujta raha
- Book : Prinda Safar men (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.