dushman tu mere dhyan se aage ki baat kar
dushman tū mere dhyān se aage kī baat kar
ab tiir aur kamān se aage kī baat kar
le kar liyā qubūl ki maiñ huuñ anā-parast
'ishq ab mire bayān se aage kī baat kar
rahte haiñ ḳhema Daal ke tere ḳhayāl meñ
ab koThī yā makān se aage kī baat kar
ghar baar bhī pasand hai laḌkī bhī hai pasand
phir baiTh itminān se aage kī baat kar
rishtoñ kī gāñTh khol ke niklī huuñ ghar se aaj
ab tū bhī ḳhāndān se aage kī baat kar
dushman tu mere dhyan se aage ki baat kar
ab tir aur kaman se aage ki baat kar
le kar liya qubul ki main hun ana-parast
'ishq ab mere bayan se aage ki baat kar
rahte hain KHema Dal ke tere KHayal mein
ab koThi ya makan se aage ki baat kar
ghar bar bhi pasand hai laDki bhi hai pasand
phir baiTh itminan se aage ki baat kar
rishton ki ganTh khol ke nikli hun ghar se aaj
ab tu bhi KHandan se aage ki baat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.