dushmani hai na kahin yari hai
dushmanī hai na kahīñ yaarī hai
jiine vaale tirī fankārī hai
mahv-e-hairat samā'ateñ haiñ abhī
ḳhāmushī kā bayān jaarī hai
kuchh to ham 'aks haiñ ā.īne bhī
aur kuchh apnī adākārī hai
chehragī chup hai ḳhad-o-ḳhāl ḳhamosh
ā.inoñ par sukūt taarī hai
āj-kal dād-e-suḳhan denā bhī
'mauj' 'ġhālib' kī taraf-dārī hai
dushmani hai na kahin yari hai
jine wale teri fankari hai
mahw-e-hairat sama'aten hain abhi
KHamushi ka bayan jari hai
kuchh to hum 'aks hain aaine bhi
aur kuchh apni adakari hai
chehragi chup hai KHad-o-KHal KHamosh
aainon par sukut tari hai
aaj-kal dad-e-suKHan dena bhi
'mauj' 'ghaalib' ki taraf-dari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.