dushmani is tarah nibahega
dushmanī is tarah nibāhegā
vo tirī haañ meñ haañ milā.egā
TuuT jā.egā kāñch kī mānind
har kisī se jo dil lagā.egā
haa.e ye dūriyāñ haiñ dil vaalī
fāsle kis tarah miTā.egā
bhes badlā hai ruup badlā hai
us ko pahchān tū na pā.egā
laakh qābil hai ilm-o-fan meñ tū
chāplūsoñ se maat khā.egā
dushmani is tarah nibahega
wo teri han mein han milaega
TuT jaega kanch ki manind
har kisi se jo dil lagaega
hae ye duriyan hain dil wali
fasle kis tarah miTaega
bhes badla hai rup badla hai
us ko pahchan tu na paega
lakh qabil hai ilm-o-fan mein tu
chapluson se mat khaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.